Kuch tum kaho, kabhi mein sunu
Phir mein kahoon, aur kuch tum suno
Batton hi battoon mein shyaam dhal jayegi,
Nayi subah phir tumhari umeed jagayegi
kushiyon ke timtimate diye aankhon mein bharenge
Dil mein ek ehsaas uthega,
Kahin khwaabon ka basera sajega.
Hotton per sharam phir ayegi dabe paon,
Thama hua yeh pal hoga, aur tumhari sansoon ki chaon
Ek woh alaam tha aur ek aaj,
Ki tham tham kar bhi yeh pal kat ta nahin
Bheegey ansuon ne timtimahat bujha di
Shamshaan hui khwabon ki waadi, ab yahan koi basera nahin
Roz shyam hoti to hai, per andhera dhalta nahin
Dil mein ab bhi ehsaas to hai, per hotton pe koi dua nahin
Mein kuch kahun, per sunnewalla kahan
Jo aahat karde bechain, ab woh lamha kahan
Ab to na umeed rahi, na rahi udaasi
Sirf khali pan ke aaine mein, beetein yadoon ki parchai
No comments:
Post a Comment