Monday, September 14, 2009

Ek Adhura Bahaana

Barfeelay darakhton ke darmiyaan
aaj yun taqdeer ka hua saamna
kudrat ke ghuroor mein chuppi
khaalis si yeh waadiyaan

Imaan hi tha, farz se mohabbat thi jo humein
watan’ne hifaazat ki dor, zindagi se aagi bandhi thi humne

Par ek thehre hue lamhe ne rukh badal diye
farz, mohabbat, zindagi ke maa’ine badal diye

Shahidoon mein ginti ki ab na thi aarzoo
ki aapki aarzo mein fanaa ho chale

Woh lamha, fizaaon mein nami se thi
ya tumhari aahat thi ya meri sasen tamhi se thi

Zulfoon ke hijab se ek chitwan
chehre ki noor ko panaah mil gayi
is aam si dhadkan ko ek makhsoos wajah mil gayi

Kabhi khariyaat puchne ke bahane,
ya chai ki piyaali lotane
roz dastak de to thi
salaam arz karne ke bahane

Door gulistan ko dhagoon mein piroti tum
roz ek jo tuut kar gir jaata
faasloon ko mehkane ka bahana tha

Shaam ki ojhal roshni mein
tumhari perchai ban jaon
tamanna yahi thi
yeh shama’ to sirf ek bahana tha

Kabhi tum kuch kaho
kabhi mein sunu
alfazoon ne ki na kabhi zurrat
nazrein milane ka jo bahana tha

Din bane hafte,
yunhi guzar gaya ek saal,
soz ki shaama jalti rahi
arzoo mein junoon behaal

Unki mohabbat justajoo si rahi
bepanhaa ishq ankahi si rahi
chitthi likhne ki himmat ki humne
mulaqqat ki khwaish, yeh jurrat ki humne

Woh lamha jise kainaat ko tha intezaar
le ayaa hathoon ek paigaam
sarfaroshi ki kasmein, Sar zameen ki hafazaat ka elaan
khidmat ka tha vaasta

Milne ka ek waada, aur kuch baatein hazaar
yun hi tabassum se rukhsat le,
chal diye us paar

Apne jannat ki khaanum bana bethe
tumhari ‘haan’ to sirf ek bahana tha
husne shamsher per sab kuch luta bethe

Us roz barooton ke tukdon ne
kai chulhe bhigo diye
gesuon ke daaman mein be-dum hoon
aur sabhi tasawwur mita diye

Anginnat shaheedon mein naam likh gaye
ek aur dastaane’ ishq ko rusva kar gaye
dhaage se tutt kar bikhar gaye
kuch sapne kuch phool
baimaan taqdeer taale massal gaye

Wafaat to sirf ek bahan tha
kabr per tumhe aana hi tha
ab - dida ko aaj yateem na karo
ek akhri mulaqaat ka wadaa nibhana tha


1- Chitwan - Glance
2- Panaah - Cover
3- Aaam - Common
4- Makhsoos - Exclusive
5- Gulistaan - Rose Garden
6- Ojhal - Dimming/Disappearing
7- Shama - Light/oil lamp
8- Soz - Burning passion vexation
9- Tabassum - Smile
10- Khaanum - Wife/ Princess
11- Shamsher - Sword
12- Gesoo - Tresses
13- Be- dum - Lifeless
14- Tasawwur Imagination
15- Wafaat - Death
16- Ab – dida Tears of the eye